Friday, August 22, 2008

KUCHH KAHOON KAISE / Zaidi Jafar Raza

Use hairat hai main zinda bhi hun aur khush bhi hun kaise
Khamoshi hi mere haq men hai behtar, kuchh kahun kaise
Kaha tha usne haq-goi se apni baaz aa jaao
Kaha tha main ne main patthar ko heera maan lun kaise
Kaha usne kisi mauqe pe jhuk jaana bhi padta hai
Kaha main ne ki sachchaayi ko dekhun sar-nugoon kaise
Kaha usne ki chup rah jaao koi kuchh bhi kahta ho
Kaha main ne ki main insaan hun patthar banoon kaise
Kaha usne kit um dushman bana lete ho duniya ko
Kaha main ne ki duniya kii tarah main bhi chaloon kaise
Kaha usne ki apnon aur behaanon ko pahchaano
Kaha main ne ki in lafzon men ye maani bharoon kaise
Mujhe jafar raza phir bhi vo apna dost kahtaa hai
Inaayat uski mujh par itnii zyaada hai ginoon kaise.
***********************

Labels:

2 Comments:

At September 12, 2008 at 9:32 AM , Blogger شہروز said...

बहुत खूब!आपके तख्लीकी-सर्जनात्मक जज्बे को सलाम.
आप अच्छा काम कर रहे हैं.
फ़ुर्सत मिले तो हमारे भी दिन-रात देख लें...लिंक है:
http://shahroz-ka-rachna-sansaar.blogspot.com/
http://saajha-sarokaar.blogspot.com/
http://hamzabaan.blogspot.com/

 
At June 11, 2010 at 4:16 AM , Blogger इस्मत ज़ैदी said...

बेहतरीन कलाम ,

आज ही पहली बार आप के ब्लॉग पर आई हूं और तक़रीबन पूरा पढ़ लिया ,

ज़बान ओ बयान दोनों ही क़ाबिल ए तारीफ़ हैं
और फ़िक्र के तो क्या कहने ,सुबहान अल्लाह

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home