PASANDEEDA GHAZALEN - 4
Le aayiye teer aur, tabar aur, sinan aur.
baaqi hai abhi jism men kuchh thhodi si jaan aur.
Kar deejiye is shehr ko khoona-b-fishaan aur.
Mil jayenge ezaaz-o-fazeelat ke nishaan aur.
Keeje n azeeyat ke tilismaat jawaan aur.
Rahnaa hai abhi aapko kuchh roz yahaan aur
Ham jaison ki bastee men laga deejiye phir aag.
Ban jaayenge phir aapke do-chaar makaan aur.
Hanstaa hoon to abru ke badal jaate hain tevar.
Goyaayi ka ye lahjaa guzartaa hai garaan aur.
Mujh se koyi shikwa hai to be-saakhta kahiye.
Khafgee ka ye andaaz khajil kartaa hai jaan aur.
Jo maslehat-e-waqt se waqif hain vo ahbaab.
Hote hain yahaan aur, wahaan aur, wahaan aur.
Labels: AZ QALAM : ZAIDI JAFAR RAZA
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home