Sunday, March 9, 2008

DAANISH-GAAH -E- ALIGARH : ZAIDI JAFAR RAZA

Main ab bhi is azeemushshaan daanishgaah ka hoon
Dil se shaidaayi
Bahot se khwaab lekar main
Kabhi aaya thhaa iski vaadiyon men,
Aastaan par iske main ne sar jhukaaya thhaa,
fizaaon men yahaanki gungunaaya thhaa.
Adeebon ki jawaan bazmon men,
fikro-fan ki bahson men,
Thh-hakedaarzinda qahqahon men,
Tez jhadpon men,
Gharaz jeene ke saare tund-o-sheereen silsilon men,
Hoke shaamil doston ke saathh,
Main ne zindagi ka saaz uthhaya thhaa.

Sheharyaar-o-Khalil-o-Jazbi-o-Jaaved-o-Raahi
Shaam dhalte hi,
Chale aate thhe kaife ke ujaalon men,
Dubokar saare gham,
Kaafi ke garmaagarm pyaalon men
Uthha lete thhe sar par aasmaan
Ham sab khayaalon men.
Takalluf se thhe sab aazad,
Sab aapas men khulkar baat karte thhe.
Siyaasat se sabhi thhe betalluq,
Sab ke thhe apne sanamkhaane,
Buton ke sab thhe deewane.
Sabhi ki dhhaak thhi, shohrat thhi,
Sabke tazkare thhe baakamaalon men.
Buton men ek hayaa thhee,Shaan thhee,
Jurat-pasandaana takallum thha,
Balaa ka baankpan thha khush-jamaalon men.

Muneebon,Zaahidaon,Zauqiyon,Shehlaaon ki basti,
Theater ki taraf, besaakhta mujhko bulaati thhi,
Mujhe achchhi tarah hai yaad,
Ustaadon ka zauq-o-shauq se istej par aana,
Mere pesh-e-nazar hai ab bhi,
Mauseeqi ki dhun par,
Gaaon ke geeton ke ras men,
Ghulke, sabka jhoomnaa gaanaa.
Sataaish ke harek andaaz men izhaare-mastaana.
Koi bhi rol ho,
Fan ka pujaari ban ke chhaa jaanaa.

Suroor-o-Taahr-o-Harbansh ki taksaal ke sikke,
Kabhi hote n the khote.
Habeeb-o-Haadi-o-Saahaa-v-Gill ke ilm ke charche
Hu'a karte the bazmon men aqeedat se,
Rais-o-Moonis-o- Nooru Hasan,
Be-misl the aql-o-zahaanat men,
Hafeez-e-kaj-kulah, yaktaa the qaanooni liyaqat men.
Bahot mumtaaz theen Mumtaaz aapa har jama'at men.
Hawa'on men yahaan qaus-e-qazah ka rang shaamil tha,
Demaaghon men sabhi ke-
Ek goshe men dhadakta,
Dardmandi se bhara dil tha.
Yahaan har shakhs apni zaat men khud ek mahfil tha.
Main ab bhi is azeemushshaan Daanishgaah ka
Hun dil se shaidaayi.
******************************

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home