Sunday, March 16, 2008

ALIGNAAMA KI TEEN NAZMEN

1.GHILAF-E-BEHISI
Ghilaf-e-behisi yahaan,
Fareb-khurda, bad-hawaas, khudgharaz-
Fizaayen karti ja rahi hain zebe-tan.
Chalo yahaan se,
Ab yahaan ki zindagi men bas gayi hai,
Zehr se bhari ghutan.
Riwaayaton ke khush-numa tilism
Ab nahin rahe,
Sha'ur-o-aql ka bacha nahin kahin koi nishan,
Sabhi hain ek -doosre se badguman.
Uroos-e-ilm sar se pair tak, baghair pairhan,
Hayaat ke liye bhatak rahi hai dar-b-dar,
Samete dil men dard ki chubhan.
Ajeeb saaniha hai, is ke sarparast,
Khud hain ispe khanda-zan.
Koi hai ahle-ilm,
Badh ke jo ise sanbhal le ?
Kisi ki zindagi men hai ye hausla,
Ke apni zindagi men iski zindagi ko dhal le ?
Museebaton ki tez aandhiyon ki zad se,
Is wafa-shi'aar ko nikal le ?
Jawaab men mileen mujhe,
Harek taraf khmoshiyaan.
Nahin bache kahin bhi ab,
Lagaane wale jaan-o-dil ki baaziyan.
Hayaat har taraf hai aaj,
Taajiraana bhes men.
Badi ke sab mujassame,
Hain mukhlisaana bhes men.
Dilon men unsiyat nahin,
Kisi men zindagi-nawaaz,
Koi bhi sifat nahin.
Khizaan ki chot se,
Jhulas gaye hain sab ke tan-badan.
Uloom ke waqaar ka,
Ye marmareen mahal hai nang-e-fikr-o-fan.
Qadam qadam pe maut hai,
Nafas nafas hai ahrman.
N ho sakega ab yahaan
Kabhi bhi koi shaadman.
Ghilaafe-behisi yahan
fizaayen karti jaa rahi hain zebe-tan.
*****************************
2. WAADI-E-PECHAAN
Tumne is waadi-e-pechaan ko bahot pas se dekha hoga,
Tumne mahsoos kiya hoga ke khushrang tilismon ka jahaan,
Roz-o-shab rahta hai aabad yahaan.
Ilm-o-hikmat ka tasawwur hai faqat maamla'e sud-o-ziyan.
Sab hain aapas men hareef-e-dil-o-jaan.
Har taraf phaile hain,
Khud-sakhta zulmaat ke benoor makan,
Kursiyan nasb hain har samt parastish ke liye,
Log ek-doosre se milte hain saazish ke liye,
AAnkhen bichh jaati hain aaqa ki nawazish ke liye.
Dosti, rasme-wafaa se mahroom.
Zindagi, baahami rishton ki du'a se mahroom.
Log chalte hain kuchh is tarh,
Nahin chhodte paa'on ke nishan.
Husne-ikhlaaq-o-amal, baar-e-garan.
Masjiden hoti hain taamir,
Ghasab-karda zameenon pe yahaan.
Hirs ki goonjti hai jin men azaan
Yaani Allah ki azamat ka hai iqrar,
Faqat zeenat-e-aswaat-e-zabaan.
Reesh sunnat hai, dikhaave ke liye,
Topiyan sar pe, chhalave ke liye.
Sab Musalman hain, eimaan ke daawe ke liye.
Sab ki peshaani pe,
Tamaghaat ki soorat se ubhar aaye hain
Sajdon ke nishaan.
Atthe-panje ki siyasat men hain masroof,
Namaazi ban kar.
Khush hain,
Khwabon men hui jangon ke ghaazi ban kar.
Vo mulazim ho, ke ustaad, ke ho daanishju,
Council-o-Unian-o-Court ki bheeni khshbu,
Intikhaabon ke wasile se,
Chalaa deti hai apna jadu.
Jo bhi chun jaay samajh lo use meraaj mili,
Khil gayi uske muqaddar ki kali.
Daakhle aur taqarrur men suni jaati hain baaten uski,
Manqanat uski hai, naaten uski,
Muhre uske hain bisaaten uski,
Murgh-o-maahi ke tanaavul se,
Saji rahta hai raaten uski.
Mahfilon men hai charaaghaan us se,
Rob khaata hai musalman us se.
Iqtidaaraat ka milna hai yahan raahat-e-jan,
Hota hai kursi-nasheenon ko, khudaa'i ka gumaan
Samjhe jate hain wahi ahl-e-nazar, ahl-e-zabaan.
Saahib-e-ilm faqat muhr-b-lab rahte hain,
Zindagi unki hai maanind-e-khizan.
Haal aisa hi raha gar,
To khabar kisko hai, kal kya hoga.
Tumne is waadi-e-pechaan ko bahot paas se dekha hoga.
******************************
3. NIZAAM-E-KAJRAVI
Ye mahfilen, ye dosti, ye e'tabar kuchh nahi.
Kisi pe aaj aadmi ka ikhtiyar kuchh nahin..
Farishte hans rahe hain nekiyon ke zikr-e-khair par,
Safar men shaitanat ke, zeest ka waqaar kuchh nahin..
Nafas-nafas hai apni zaat ki numaishon men gum,
Bashar ke saamne vujoode-kirdagaar kuchh nahin..
Vo ilm ho le ho amal, tijaaraten hain har taraf,
bala se khalfishaar ho, ye khalfishaar kuchh nahin..
Usool ki jo baat kar raha ho, bad-dimaagh hai,
Nizam-e-kajravi men fard-e-burdbaar kuchh nahin..
Zameen pe ho rahe hain roz, aaqibat ke faisle,
Khuda hain kursiyan, Khuda-e-noor-o-naar kuchh nahin.
N koi markaze-uloom hai n tarbiyat-kada,
Jawan hain bad-tameeziyan, tameezdar kuchh nahin..
Siyaah-kaariyon ka raqs hai faqat urooj par,
Badi ka ek khmaar hai, bajuz khmaar kuchh nahin..
Tilaa'i-nuqra'i rivaayaton ke khol men saja,
Khizan-raseeda darsgaah ka dayaar kuchh nahin..
Alig hain vo aaj, jo lahoo-b-kaf hain saf-b-saf,
Nahaaye apne khoon men jo shaheed-e-daar, kuchh nahin..
Khuda ki rahmaton ke saare chashme khushk ho gaye,
Chaman tha jin se shaadmaan, vo aabshaar kuchh nahin..
********************

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home