Friday, March 14, 2008

DO NAZMEN : IMAAM HUSAIN KE TA'LLUQ SE

1. YE KYA HUA
Ye kya hua ke zindagi ka aaftaab
Zulmaton ki bad-she'aar badliyon ki zad men hai.
Tameez-e-khair-o-shar
Harees aandhiyon ki zad men hai.
Ye kya hua ke khaan'ye khuda ke har chahaar simt,
Kufr-basta muntakhib mujassame
Tahal rahe hain haajiyon ke bhes men.
Nawasa-e-Nabi-e-haq,
Imame-waqt,
Hai nishaana'e jafa,
Sha'ur-e-noor-o-aagahi ke des men.

Ye kya hua ke fard-fard
Mustafa (s) ke ghar ka fikrmand hai!
Ye kis tarah ka khadsha'e gazand hai!
Dilon men haq-shenaas sa'aton ke hausle
Zabaan pe khulq-e-fakhr-e-ambiya ki
Tarbiyat ka sail-e-bekraan liye
Har ek kamsin-o-jawan,
Baqaaye deene Rehmatul-lil-aalmin (s) ke josh men
Hatheliyon pe jaan liye,
Nawasa'e Nabi-e-Haq (s) ke saath hai
Bashar ka dard ufaq-ufaq
Lahoo-nishaan gule-shafaq ke saath hai.
Ye kya hua ke zindagi ka aaftab
Zulmaton ki bad-she'aar badliyon ki zad men hai.
***************************************

2. YE KAISA MANZAR HAI

Ye kaisa manzar hai Karbala men !
Ke regzaaron ki shola-afshaaniyon ke chehre
Gule-Nabuwat ki
Aayaton ke huroof ki khushbu'yen samete,
Khamosh lab, dil-shikasta, hairat-zada saraapa,
muraqqa-e-nafse-kulle eimaan ko tak rahe hain.
Falak pe khursheed,
Neeyate-sajda-e-tashakkur se hai khameeda,
Furaat, zakhmon se choor, majboor, aab-deeda,
Sada-e-nauhaa baland karti fizzayen
Khaimon ki dhadkanon ka sha'ur lekar,
Sitam-raseeda,
Jawan-o-bekas,
Gulaab-laashon pe seenazan hain.

Kahin bahen ke jigar ke tukdon ke,
Thande jismon pe,
Kamsinee ki shu'aayen aansu baha rahi hain.
Kahin akhee ki mohabbaton ke
Nishaane-gulguun-qabaa se
Paiham lipat ke,
Sooraj ki sabz kirnen,
Zameer-e-insaan jagaa rahi hain.
Kahin shabeeh-e-Nabi ke lahje men,
Gard-aalood, jaan-balab, Ghamzada hawaayen,
Azaane-Khaaliqq sunaa rahi hain.
Kahin kate baazuon ki tishnadahen,
Tamannaaye,
Pyaase bachchon ko aabe-kausar pila rahi hain.

Sadaaye-nusrat ki,
Shafqaton se bhari hui god men,
Abhi ek gauhare-aabdaar,
Ghuncha-dahen mujaahid,
Baqaaye-abadi ka jaam-e-khushrang pee chuka hai.
Nahaa ke apne lahoo men,
Zulm-o-sitam ke honton ko see chuka hai.
Abhi-abhi Zulfaqaar,
Nannhi si ek turbat banaa ke,
Sabr-o-reza ke maani bata chuki hai.
Abhi-abhi ek maan,
khayaalon men
Sar-barahna nikal ke laashon ke darmiyan se,
Sagheer ko le ke god men,
Maamta ka jhoola jhula chuki hai.
Imam tanha hain
Jaan-nisaaron ki saf men koyi nahin bacha hai.
Ye kaisa manzar hai Karbalaa men ?


******************

Labels:

1 Comments:

At June 11, 2010 at 4:05 AM , Blogger इस्मत ज़ैदी said...

behatareen ,manzarkashee kee meraaj ,
karbala men ashoor kaa pooraa manzar nigaahon ke saamne aa jaataa hai,

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home