Friday, March 14, 2008

GHAZAL

Ye kaisa dard hai jo qalb-o-jan se be-talluq hai,
Ye kaisi tees hai jo is jahaan se be-talluq hai.
Mujhe logon ne kyon is kaarvan men kar liya shamil,
Meri duniya mizaj-e-kaarvaan se be-talluq hai.
Masaayib toot padne par bhi aankhen nam nahin hoteen,
Mera azme-safar aah-o-fughaan se be-talluq hai.
Main apni manzilon ke raston ko khud hi chunta hoon,
Meri raftaar, pairon ke nishaan se be-talluq hai.
Meri bheegi hui aankhon men hai ik aag ka darya,
Zamaana mere is aatish-fishaan se be-talluq hai.
Saleeqa seekhta kaise bhala main shehryaaron ka,
Mera afsaana, unki daastan se be-talluq hai.
Mujhe jafar raza dushwaariyan mehsoos kyon hongi,
Meri fikre-rasaa, sood-o-ziyaan se be-talluq hai.

Labels:

1 Comments:

At June 29, 2010 at 10:57 PM , Blogger इस्मत ज़ैदी said...

बहुत कोशिश के बाद भी कोई एक या दो शेर नहीं मुंतख़िब कर पाई,पूरी ग़ज़ल ही मुतास्सिर करती है
इतने मुश्किल रदीफ़ को निभाना जू ए शीर लाने से कम तो नहीं,
कलाम ,ख़ूबसूरत अदाएगी और फ़िक्र को सलाम

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home