Friday, March 14, 2008

ALIGNAAMA KI DO NAZMEN

ALIGNAAMA , Zaidi Jafar Raza ki un nazmon ka majmu'aa hai jo 1962 se 2000 ke darmiyaan likhi gayin. Inhen Aligarh Muslim University ke pasmanzar men hi samjhaa ja sakta hai.
1. YE EK GULSHAN THA

Ye ek gukshan tha,
Jiske phoolon pe naaz tha uske baaghban ko.
Yahaan ki khushboo -
Sukoon-bakhsh aur janfiza thi,
Hayaat ki ne'maten lutaakar,
Masarraton se nawaazti thi ye dojahaan ko.
Yahaan kabhi bukbukon ke naghme,
Dilon ko apni mithaas se,
Shaadmaniyan bakhshte the, khwaabon men rang bharkar,
Yahaan kabhi shokhiyon se labrez,
Khush-adaa, dil-nawaaz ghunchon ke saaz par,
Gungunaye jaate the geet ulfat ke,
Jin se thi sab fiza muattar.
Yahaan ke phoolon ke rang, jaise bhi hon,
Nazar aate the gulaabi,
Yahaan ke waa'iz ,
Suroor-e-mai ke baghair the husn ke sharaabi.
Ajab zamaana tha, har taraf
Ishq ke karishmon ke tazkare the.
Har ek tha jaan-nisar,
Har dil men jaan dene ke hausle the.
Udaasiyon ki ghataayen naapaid theen,
Chamakte safed purnoor baadlon par sawaar,
Ushshaaq ke dilon men,
Balaa ke jur'at-pasand, be-khauf walwale the.
Yahaan ki subhen khmaar-aalood theen,
Shafaq ke sunahre aanchal men pal raha tha,
Shabaab unka.
Yahaan ki shaamen thin rooh-parwar,
Kisi ko raas aata unka kaajal,
Koyi lagaata khizaab unka.
Yahaan ki purnoor vaadiyaan,
Dekhta tha jhuk-jhuk ke chaand aksar,
Samajhta tha, bas , khuda ki jannat,
Agar kahin hai, to hai yahin par.
Paraaya koyi n tha,
Sab apne the,
Sab ke seenon men dil dhadakta tha ek jaisa,
Sabhi ko gulshan ki aabru ka khayaal tha,
Sab ki hasraton ka chman, mahakta tha ek jaisa.
Safeene ulfat ke be-khtar,
Aag ke samandar se khelte the,
Hansee ke ghungroo,
Takallufaate-jahaan se aazad,
Khwaab ke dar se khelte the.
Yahaan ka har baankpan niraala tha,
Har adaa be-misaal thi,
Sab khuloos ke paikaron men dhalkar,
Jhukaate the roz-o-shab ,
Jabeen-e-niyaaz apni is aastan ko.
Muwaddibaana salaam karte the,
Is zameen-e-falaknuma ko,
Ye ek gulshan tha,
Jis ke phoolon pe naaz tha iske baaghban ko.
****************************************
2. KIS SE KISKO KHATRA HAI
Aahni daron men sab, qaid ho rahe hai kyon
Iqtidaar paakar bhi, past hausle hain kyon
Jaan ki hifazat ke, saare silsile hain kyon
Dahshaten hain chehron par, iztiraab aankhon men,
Kaisa ye tamashaa hai, kis se kis ko khatra hai?
Zalzale imaarat se , poochh kar naheen aate
Sarphire, damaaghon men, le ke dar naheen aate
Khairiyat ki chaahat men, ahle-shar naheen aate
Khidkiyon ke sheeshon ke, tootne ka andesha,
Kyon dilon men baitha hai, kis se kis ko khatra hai?
Yun asaatiza shayad, darsgaah men pahle
Baahmi siyaasat ki, the n raah men pahle
Kuchh khuloos baaqi tha, har nigaah men pahle
Vaise paak-daaman ab, kho gaye kitaabon men
Kyon dilon men keena hai, kis se kis ko khatra hai?
Daftaron ki faail men, be-usooliyan har soo
Bhaayiyon-bhateejon ka, pal raha jahan har soo
Rishwaton ke rishte bhi, hain yahan vahan har soo
Intezaamiya apni, aankh band rakhti hai,
Jaane maamla kya hai, kis se kis ko khatra hai?
Sherwaaniyon waale, leedaraan-e-millat hain
Talibilm hain to kya, raazdaan-e-millat hain
Badtameeziyan unki, Tarjumaan-e-millat hain
Uljhanen hain shikve hain, har zabaan par jaari,
Jaane maajra kya hai, kis se kis ko khatra hai.
*************

Labels:

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home