Thursday, March 27, 2008

GHAZAL : ZAIDI JAFAR RAZA

Pyaar ki sham'en jalaao, roshni ho jaayegi
Maan lo barham fizaao , roshni ho jaayegi
Zebe-tan kar lo libase-Masnavi-e-Room ko
Ai mere dil ki sadaao roshni ho jaayegi
Tang ho zulm-o-sitam se, phir khmoshi kisliye ?
Haq ki aawazen uthaao, roshni ho jaayegi
Gham ka rishta zindagi ke saath gahra hai bahot
Gham men khul kar muskuraao, roshni ho jaayegi
Is jahaan men dushmanon ke beech jeena seekh lo
Apni duniya khud banaao , roshni ho jaayegi
Maslehat ko waqt ki samjho, milo akhlaaq se,
Talkhiyaan lab par na laao, roshni ho jaayegi
Ye mazahib ke jawan bazaar hain misl-e-saraab
Inke fatwon par na jaao , roshni ho jaayegi
Zulmaton se pur, khizaan-aalood mausam ke khilaaf
Koyi deepak raag gaao , roshni ho jaayegi

2 Comments:

At July 15, 2008 at 12:13 AM , Blogger Syed Hyderabadi said...

bahot achchi ghazal hai. shukria.

-

 
At June 22, 2010 at 11:58 AM , Blogger इस्मत ज़ैदी said...

Ye mazahib ke jawan bazaar hain misl-e-saraab
Inke fatwon par na jaao , roshni ho jaayegi

बहुत सच्ची बात कही आप ने
वाक़ई ये जो हर शख़्स फ़तवे देने के लिए तय्यार है ये ज़ुल्मात के ताजिर ही तो हैं

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home