Tuesday, March 18, 2008

FAZEELAT-AL-KURSI : ZAIDI JAFAR RAZA


Kya khoob dars-gaahe-Aligarh hai dosto.

Baaten banaa'o, naam kama'0, maze karo..

Padhne-padhaane ka hai tumhen gar zara bhi shauq.

Samjho gale men pad gaya gumnaamiyon ka tauq..

Kursi se badhke koi muallim nahin yahaan,

Hoti hain har zamaane men makhdum kursiyan..

Allaama sirf vo hai jo kursi-nasheen hai.

Kursi n ho to ilm-o-amal be-yaqeen hai..

Vaise to kursiyon ki hai bharmar har taraf.

Lekin harek kursi ko haasil nahin sharaf..

Kursi ke maani hote hain qudrat-v-ikhtiyaar.

Jaah-o-hasham hai kursi se kursi se iqtidaar..

Kursi bahot aham hai yahaan ke nizaam men.

Kursi hate to subhen badal jaayen shaam men..

Kursi men vo kashish hai ke sabko lagaa'v hai.

Kursi se aadmi ka yahaan mol-bhaa'v hai..

Kursi hi sadr-e-shoba hai kursi hi Dean hai.

Kursi asaatiza ke liye mehjabeen hai..

Kursi kabhi Provost kabhi Warden ka naam.

Yaani, zarooraton ke mutaabiq ghaban ka naam..

Kursi hi jod-tod se banti hai Proctor.

Kursi ki mutthiyon men hai taqseem-e-khair-o-shar..

Kursi Registrar bhi, F.O. bhi hai janaab.

Kursi agar n khush ho to hai zindagi azaab..

Mujh par hu'e jo zulm, unhen bhool jaayiye.

Kursi ke ilm-e-ghaib pe eimaan laayiye..

Daanish-kade ki saari nizaamat isi se hai.

Kitne hi khaandaanon ki barkat isi se hai..

Kursi ho be-lagaam to aa jaay zalzalaa.

Kursi se dushmani ka kare kaun hauslaa..

Andaaz-e-kajravi hai to afzal hain kursiyaan.

Jinmen sharaafaten hain vo bekal hain kursiyaan..

Ghundon ki parvarish se hai kursi ki aabroo.

Vo sar uthaaye jismen ho pitne ki aarzoo..

Haq maangna hai kursi ke nazdeek sarkashee.

Qaanoon, sirf kursi ke honton ki hai hansee..

Fanne-musaahibi men jise kuchh kamaal ho.

Kursi ke saath milke bahot maalamaal ho..

Kursi men ho sadaandh to khshboo kaho use.

Ghaplaa nazar men aaye to jaadoo kaho use..

Kursi ka dabdabaa ho to jeene ka hai mazaa.

Kursi se jod-tod men hai sabka faaydaa..

Ilm-o-adab ki baat saraasar fuzool hai.

Kursi n ho to aadmi sahraa ki dhool hai..

A.C. ka ho chunaa'v ke E.C. ka intekhaab.

Har-jaa dikhaayi deti hai kursi ki aab-o-taab..

Kursi parast aaj hain peer-o-jawaan sabhi.

Sabki nigaah kursi jhapatne men hai lagi..

Kursi mile to aadmi masroor kyon n ho ?

Allaa-miyan se phir vo bahot door kyon n ho ?

Kursi ke saath zaate-Khuda ka vujood hai.

Kursi ke haq men aaj salaam-o-durood hai..

*******************************





Labels:

1 Comments:

At June 11, 2010 at 10:53 AM , Blogger इस्मत ज़ैदी said...

बहुत उम्दा ,वाक़ई मज़ा आ गया

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home