Thursday, March 20, 2008

GHAZAL : ZAIDI JAFAR RAZA

Nadee ke pukhta iraade badal na paayenge .
Ham abke gaaon se apne nikal na paayenge.
Hawaayen tez bahot hain zaraa thahar jaao,
Abhi chiraagh jalaaoge, Jal na paayene.
Balandiyan hamen is darja kis liye hain aziz,
Gire yahaan se to hargiz sanbhal na paayenge.
Unhen banaaoon main kis tarh raazdan apna,
Jo do Qadam bhi mere saath chal na paayenge.
Agar hon khasta bahot ghar ke sab dar-o-deewar,
To ghar ke log kisi lamha kal na paayenge.
Zidon se aur bhi hote hain mas'ale paida.
Zidon ke saath masaa'il ke hal na paayenge.
Main chand roz ka mehmaan hun yaqeen keeje,
Phir aap honton pe mere ghazal na paayege.

1 Comments:

At June 22, 2010 at 12:02 PM , Blogger इस्मत ज़ैदी said...

Zidon se aur bhi hote hain mas'ale paida.
Zidon ke saath masaa'il ke hal na paayenge.

ये नसाएह और ये एक़दार इसी ब्लॉग पर मयस्सर हैं
वाह!

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home