Tuesday, October 28, 2008

Hoke beghar ja rahe the regzaaron men kaheen.

Hoke beghar ja rahe the regzaaron men kaheen.
Main bhi tha un kaarvaanon kii qataaron men kaheen.
Vo to kahiye saath uska tha ke saahil mil gaya,
Kashtiyaan bachti hain aise tez dhaaron men kaheen.
Der tak main aasamaan ko ek tak taktaa raha,
Sochkar shaayad vo shaamil ho sitaaron men kaheen.
Uspe jo bhi guzre, vo har haal men rahta hai khush,
Uske jaise log bhi hain in dayaaron men kaheen.
Ye bhi mumkin hai vo aaya ho ayaadat ke liye,
Kya ajab shaamil ho vo bhi gham-gusaaron men kaheen.
Ghar se jab niklaa bazaahir vo bahot khush-haal tha,
Lautne par khud ko chhod aaya ghubaaron men kaheen.
***************************

Labels:

1 Comments:

At June 11, 2010 at 9:03 PM , Blogger इस्मत ज़ैदी said...

मतला ता मक़ता ग़ज़ल बहुत अच्छी है लेकिन ये शेर ग़ज़ल की रूह है

Uspe jo bhi guzre, vo har haal men rahta hai khush,
Uske jaise log bhi hain in dayaaron men kaheen.

बहुत ख़ूब!

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home