HAIRAT_ZADA HAI SAARA JAHAAN
Hairat-zada hai saara jahaan dekh ke mujhe.
Kya gahree neend aayi hai khanjar tale mujh.
Main subhe-rafta kii hun shuaa-e-fusoon-taraaz,
Lagte nahin hain shaam ke tewar bhale mujhe.
Khush-haal zindagi se n tha qalb mutmain,
Faaqon kii rahguzar ne diye tajrube mujhe.
Main apni manzilon ka pata jaanta hun khoob,
Gumraah kar n paayenge ye raaste mujhe.
Waqif rumooze-ishq se main yun n tha kabhi,
Raas aaye tere saath bahot ratjage mujhe.
Kab dekhta hun tere alaava kisi ko main,
Kab soojhta hai tere jahaan se pare mujhe.
Sunta rahaa main ghaur se kal teri guftugoo,
Mafhoom teri baaton ke achchhe lage mujhe.
Gham apne gholkar main kayi baar pee chuka,
Ab haadase bhi lagte nahin haadase mujhe.
************************
Labels: GHAZAl / ZAIDI JAFAR RAZA / HAIRAT-ZADA HAI SAARA JAHAAN
3 Comments:
अलहम्दु लिल्लाह...अपने ब्लॉग में आपके ब्लॉग का लिंक दे रही हूं...
bahut khoob.
khudara aapki qalam ko sach ki talwar banaye.aamin
Khush-haal zindagi se n tha qalb mutmain,
Faaqon kii rahguzar ne diye tajrube mujhe.
सुबहान अल्लाह!
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home