Tuesday, September 30, 2008

HAIRAT_ZADA HAI SAARA JAHAAN

Hairat-zada hai saara jahaan dekh ke mujhe.
Kya gahree neend aayi hai khanjar tale mujh.
Main subhe-rafta kii hun shuaa-e-fusoon-taraaz,
Lagte nahin hain shaam ke tewar bhale mujhe.
Khush-haal zindagi se n tha qalb mutmain,
Faaqon kii rahguzar ne diye tajrube mujhe.
Main apni manzilon ka pata jaanta hun khoob,
Gumraah kar n paayenge ye raaste mujhe.
Waqif rumooze-ishq se main yun n tha kabhi,
Raas aaye tere saath bahot ratjage mujhe.
Kab dekhta hun tere alaava kisi ko main,
Kab soojhta hai tere jahaan se pare mujhe.
Sunta rahaa main ghaur se kal teri guftugoo,
Mafhoom teri baaton ke achchhe lage mujhe.
Gham apne gholkar main kayi baar pee chuka,
Ab haadase bhi lagte nahin haadase mujhe.
************************

Labels:

MAKKE KII SAR ZAMEEN PE

Makke ki sarzameen pe Kaaba nahin mila.
Dekha jo dil men jhaank ke, sab kuchh yahin mila.
Gum ho gaya tha main bhi zamaane kii bheed men,
Tanha hua to raaze-dile-hamnasheen mila.
Sajde men sar jhukaaya tha main ne khuloos se,
Lams uske haath ka mujhe zere-jabeen mila.
In manzion se pahle tha bilkul main naashanaas,
Nikla to garde-raah men Arshe-bareen mila.
Dekha jo pyaar se to sabhi the meri tarah,
Dushman n paaya koi, n koi layeen mila.
Mujhko hi kar diya tha jahaan ne supurde-khaak,
Main hi tha vo khazaana jo zere-zameen mila.
***********************

Labels:

Monday, September 15, 2008

Main tanha hun, nahin bhi hun

Main tanha hun, nahin bhi hun
Ki mera zehn khaali ek pal ko bhi nahin rahta,
N jane kin khayaalon ke safarnaame,
Hamesha saamne rahte hain jinko padhta rahta hun.
Samandar ke manaazir.
Shorishen,
Maujon ki barq-aamez taqreeren,
Rupahle rooyi jaise narm
Majnoo baadalon ke raqs kii thirkan,
Fizaaon se ubharti taayaron kii jaani-pahchaani,
Magar be-laus aavaazen,
Main sunta hun.
Mujhe mahsoos hota hai
Ki main khaamosh lab, be-khwaab aankhen, munjamid chehra
Hatheli par liye
Bazme-tarab men be-hiso-be-jaan baitha hun.

Achaanak saari aavazen badal jaati hain sholon men,
Haraarat daudkar maahaul ke shaane hillaati hai
Mujhe bhi chhoo ke aahista se kuchh kahti hai kaanon men
Meri be-khwab aankhon men utar aate hain phir se khwaab,
Honton par haraarat ke labon ka lams paakar
Munjamid chehre men ik tehreek si hoti hai,
Khud ko zindagi ke khushnuma aahang se labrez paata hun
Main tanhaa hun, nahin bhi hun.
*****************

Labels: