PATTHARON SE JISM THA ZAKHMI MAGAR KHAAMOSH THE
پتھروں سے جسم تھا زخمی مگر خاموش تھے
قوم کی بہبود تھی پیش نظر خاموش تھے
ہاتھ میں لے کر خس و خاشاک آ ئی کج روی
تھا تبسم زیرلب، حاضر تھا سر، خاموش تھے
بے سر و سامانیاں تھیں قافلے کی ہم سفر
ساتھ تھی حق کی رضاے معتبر خاموش تھے
آتش جور و ستم کرتی رہی خیموں کو راکھ
پیکر اخلاق تھے وو دیدہ ور خاموش تھے
سر کے دو ٹکڑے ہو ے آ رے سے لیکن اف نہ کی
عشق حق کا دل پہ تھا ایسا اثر خاموش تھے
*****************
PATTHARON SE JISM THA ZAKHMI MAGAR KHAAMOSH THE
QAUM KI BEBOOD THI PESHE NAZAR KHAAMOSH THE
HAATH MEN LE KAR KHAS-O-KHAASHAAK AAYI KAJRAWI
THAA TABASSUM ZERE-LAB, HAAZIR THAA SAR, KHAAMOSH THE
BE SAROSAAMAANIYAAN THIN QAFLE KI HAMSAFAR
SAATH THI HAQ KI REZAAYE- MOTABAR KHAAMOSH THE
AATISHE-JAUR-O-SITAM KARTI RAHI JISMON KO RAAKH
PAIKARE-AKHLAAQ THE WO DEEDAWAR, KHAAMOSH THE
SAR KE DO TUKDE HUYE AARE SE LEKIN UF N KI
ISHQE-HAQ KA DIL PE THA AISAA ASAR KHAAMOSH THE
1 Comments:
kamaal hai janaab !
kisee ek sher kee taareef men kuchh kahanaa doosre ke saath naa insaafee hogee ,
arse baad aisee shaaeree kaa lutf mil rahaa hai
mubaarak ho ,
khudaa aap ke qalam ko aur nawaaze ,ameen
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home